Koe bi sheesha ap ki itni haqeqii tasweer nhi bna skta jtni kh ap ki baat cheet ap ki zaat k pta bta dyti hy
Tuesday, 18 December 2012
Saturday, 15 December 2012
muswarra
Muskil kay wqt ksi buzdil say maswara hrghiz nhi krna chahaiy keu kh wo ap ki rhi sahi himmat bhi khatm kr day ga
Sadqa
Apni subh ka aghaz sadqay say krain chahay wo roti ka aik tukra ho ya ksi ka muskarata chahra hi ho
Be careful
Zindagi ki kitab may itni ghaltiain (mistakes) na krain kh ap ki pensil say phlayy rubber ktm ho jay
Sunday, 18 November 2012
Zindagi
May zindagi may nakaam kbi bhi nhi ho sktii ... keu kh hr kaam mjhay naay tujarbay aur naay sabaq seekhata hy
Dua
Mujhay qaboolat .e. dua ki koe fikr nhi , srf dua ki fikr hay... jab mjhay dua krnay ki toufeeq naseeb ho gi to qabool bi ho jay gi
Monday, 5 November 2012
2 beautiful places
Iss dunia may rhnayy kay leay 2 jghayn sb say bhtreen hyn
aik ksii kay dil may rhna
2sra ksii kii duaoon may rhna
aik ksii kay dil may rhna
2sra ksii kii duaoon may rhna
Realities
At some point,
You have to realize
Some people can stay in your heart
But not in your life
You have to realize
Some people can stay in your heart
But not in your life
smiles/pains
I hide all my pain behind my smile
Behind my smiles is a world of pain
You think you know me,
bht you have no idea
Behind my smiles is a world of pain
You think you know me,
bht you have no idea
rishtayy aur phool
ristay pphooloon ki trha hotay hn agr in ko pyar say nibahoo gay too khusboo day gay mgr nfrat say masloo gay to ye murjha jayn gay
Rishtoon ki khoobsorti
Baaz oqaat mamooli jgrayyy ristoon ko bht mazboot kr day tay hyn...... ku kh iss laraii mayy lrnaay wlaay drhaqeqat ap ko khonaay say dr rhay hotay hn
Sunday, 14 October 2012
Zindagi kay oraaq
Hm insaan bhi ktnay ajeeb hyn jo chahtay hain kh zindagi say un chahay wrq baydrdi say paar dayn may ye nahii jantayy ye likhi hoe tamaam tahrerain un mitt hyn
Bamqsad zindagi
Apnay hr din ko ksi ak maqsad kay tahit guzaroo wrna zindagii may asayy hi nakaam rhaoo gay jsayy darakht say gira hoa sokha ptta
zindagi
Zindagi ka silsala bhi ajab silsala .e. justaju hy ....mgr js may kbi rastay manzalain magtay hain tou kbhi manzaloo ko rstoon ki arzoo hoti hy .... mgr ye ak haqeqaat hy kh ye silsala whi ja ki hi katam hota hy jha say shuruu kea jta hy .... koe kmeaab ho jata hy to koe nakaam
Friday, 28 September 2012
waqat
Baadshh nay apnay wazeer ko ak khoobsort anghothi de ur kha
is pr kuch asa lkhwao kay jb may khush hoon to is ko dkh kr udass ho jaoun jb udass hoon to is ko dkh kr khush ho jaoun
wazeer nay uss anghothi pr likhwaya
YE WAQQAT BHI GUZAR JAY GA
Jazbay
Jb ap sachi lagn aur mahnat say ksi mqsad ko panay ki khoshish krtay ho to puri kiynaat mil kr ap ko ap ki manzil thk pounchnay kay leay teyar ho jati hy
My life my rules
Log hanstaay hain kh may mukhtalif hoon
Mujhay hanssi ati hy kh wo sb ak jsaay hain
Mujhay hanssi ati hy kh wo sb ak jsaay hain
Wafa
Wafa to nadi kay kinaray ugaay hoi ghaass ki manid hoti hy jo doobnay walay ko sahara day kr bacha layti hy ya phir kud bii kinaroon say naata tor kr dooob jati hy
Sunday, 23 September 2012
khamosh mohabaat
Zindagi khobsorat lgti hy jb ankhain chupkay chupkay ksi say mohabaat krti hain
magr ye zindagi aur bi khobsorat lgnay lgti hy jb inhi ankhoon ki khamosh mohabaat ko koe prh leta hy
magr ye zindagi aur bi khobsorat lgnay lgti hy jb inhi ankhoon ki khamosh mohabaat ko koe prh leta hy
Mohabaat aur umeed
Log khtay hain hain kh mohabaat kroo mgr ksi say mohabaat ki talb na rkho
magar haqeqat ye hay kh jb ksi say toot kr mohabaat krtayy hain to qudarty tor pr us say umeedain wabasta ke bathtay hain
magar haqeqat ye hay kh jb ksi say toot kr mohabaat krtayy hain to qudarty tor pr us say umeedain wabasta ke bathtay hain
Strong relations
Beautiful and Strongs relations wants two main things in life
firstly appreciate your similarities
secondly respect your differences
firstly appreciate your similarities
secondly respect your differences
Kuch apnay say ajnabii log
Kuch log hamari zindagi may bahutt aham hotay hain is leay nhi kh hm un kay sath rhna pasand krtay hain srf is leay kh un ki judahi may hm hmesha k leay tanha ho jatay hain
Rishtay
Rishtay ak khagaz ki manid hotay hain jo jlnay may ktm honay may kuch second laytay hain magr bnanaay may kahi saal lay jatay hain ,,,,,,,
Saturday, 22 September 2012
Bad attitude
buray raweay(bad attitude) ak kharaab tire ki manid hy js ko tabdeel keay bagair ap kuch ni kr sktay
Friday, 21 September 2012
Waqt say phlay
Wqt say phlaay apnay iraday ka izhaar krnayy say aksar us iradayy ki ahmeaat kho bhi skti hy
muskurahat
Muskorahat (smile) dukhoon ko chupanaay ka wahid elaj hy toh apnay chahray pr muskarahat ka itna khubsorat makeup kroo kh kay ghamun aur dukhoon ki dhoool ksi ko nazr na askay
Khawaishaat ka samundar
Bahut si cheezaoon ki khawaish krna achi baat hy mgr ye khawaishaat ka samundar bahut gahra hota hy is may grnaay say phlaay ye sooch loo kh tum tayrna jantay ho ya ni
Zindagi kay tajurbay
Hum zindagi kay baraay may bahut say tajzeay kr rhay hotay hain mgr bhool jatay hain kh der haqeqat zindagi hamara imtehaan lay rhi hoti hy
Dil kay waday
Ksi say kea hoa wada ap toor bhi daytay hain aur bhool b jatayy hain mgr jo waday ap kud apnay dil say krtayy hain un ko na tora ja skta hy na bulaya ja skta hy
Kmzoor faisalay
Ye baat bilkul teek hy kah soch samaj kr fasilay krnay chahay mgr ye bi ak haqeqat hy keh agr ksi mmlay ko had say zeada socha jay to faisalay kamoor ho jatay hain
Maharbaan hath
Khushioun ko zaror dhondoo mgr yaad rkhoo jb khushian mlnaay lgaay to un 2 hathoon ko kbhi ni bhoolna jnhoon nay tumhari khushii k leay apni khushian qurbaan kr de
Kuch umeedain kuch khawaab
Kuch umeedain kuch khawaab ap ko hemesha ak maqsad ki trf lay jatay hain mgr ye umeedain aur ye khawaab aiin us wqt toot jain jb ap apni manzil say 2 ya 4 qadam kay faslaay pr hoon jo phir darkan to chlti rhti hy mgr zindagi jeena bhool jati hy
Ibaadat
Kuch ibataain apnii grz porii krani ki neeayt say ni blkah uss RAB ko razi krnaay kay leay bhi krni chahayy jo ap ko bina mangay sb kuch day rha hy
Dost aur Dusmn
Dusman itna khatrnaak ni jtna wo dost khtarnaak hy jo ap kay mooh pr ap ki tareef kray aur ap ky baad ap ko barbaad kr day
Yaad Aur Mohabaat
Mohabaat aur Yaad may sb say brha frq ye haii kh mobahatt ap ko zkm day kr chor jathi hy mgr yaad hmesha na mukamal khawaab ki trha sari zindagi tabeer dhoondti rhti hy
Mohaabaat
Mohabaat tab hi ksi say krna jb tum ko apnayy app pr itna yaqeen ho kh tum iss ko nibah skhoo gay ... kue kh majbori ka jhootha sahara lay kr rasta badal dyna mohabaat ni wafa ni
Monday, 17 September 2012
Ahmiyeat
Baat sirf ahmieat daynay ki hoti hy jb ap ksi ko dil say apnatayy hain aur apni tamaam tr masroofeat say phlaay us ko ahmiyaat daytayy hain to us kay nazdeek ap us kay leay dunia kay sb say qeemti sb say khoobsort insaan mn jatay hain.
Bkhri yadaain
Kabhi zameen pr paraay zard udaas pthoon ko gour say dkhoooo ye hamariiii kuch khaas yadoon ki trha hain jn ko jtna smiythna chaha uthaay hiiii bkhertti chlii gai.........
Khushiaiin
Khushiaan bhi ghulaab kay phool kee trha hotii hain jn ki umr to bahut kamm hotii hay mgr jewan ko umr bhr kay leay mayhka jati hain
Monday, 10 September 2012
Nayaab dard
Mohabaat ki trha dukh bi bahut qeemti hotay hain kbi ap ki laboon ki khobsorat hansii bn kr nai dunia basa daytay hain to kbi dil kay makaan may ak unjaan si khalish bn jatay hain mgr ye bii sach hay kh ye wo nayaab dard hotay hain jo hr ksi kay naseeb may ni atayy dr haqeqqat ye bahut unmol hotay hain
sachay dost
Wo log bahut khusqsmat hain jin ko sachay dost miltay hain un ki zindagi may bahaar ka mosam hmesha rhta hy .... mgr wo jo apni nadani ki wjha say asayy sacchaay motiouu ko kho daytayy hain apni zindagi ko khizaan ka pta day daytay hain
Milan aur judaii
Insan ka mohabaat say taaluq raat ka shaam say milan ki trha hota hy. shaam bi raat say juda hotay hoay udass hota hy aur insan bi mohabaat kay kho janay pr gumgeen hota hy . mgr frq srf itna hy kh shaam rooz raat say milti hay mgr jb mohaabat insan say bichr jati to kbi ni wapis ati......!!
Dard.e.judai
Yeh hijar ka drd bi bahut tkleef dah hota hy jo andar hi andar ap ko trpa rha hota hy aur jb thk ksi ko iss dard ki khabar hoti tb tkh dukh bahut brh chuka hota hy
experiments
Yaadain tlkh zaror hoti hain mgr anayy walay dinoon kay leay bhtareen sabaq bn jati hain
Unmol saharay
Sukhay pathoon ko ghor say dkheyeay .. ktnna acha hota na agr sochay pthaay b ksi yaad ki manid wapis hmari zindagi may smil ho sktay.... ur hamari zindagi may haseen yaad ka unmol sahara bn jatay
Saturday, 1 September 2012
yaqeen
Zindagi kay zarorii mamlaat may hmesha puryaqeen rhna chahay . kue kah agr ap apnay nazreay aur mizaaj kay mutabiq faysalaay krnay lgain gay too asa b ho skta hy kah ap akelaay rh jao
Dost
Dost ka intakhaab bahut sooch smj kr krna chahay kue kah rishtadari k mamlay may insan majboor ho jata hy dost kay mamlayy may ni
Unmol ...
Zindagi may kbi kabi kuch aam si , sadaa si cheezain bi itni qeemti lgnay lgti hy kah ap un ki qeemat ka andaza lga hi ni sktay . blkah un ki qeemat ada kr hi ni sktay .
Azala
Apni zindagi may faysalay soch samj kr krayn kue kah jo gltii ap say ho jatii hy us ka azala ap ko zindagi kay ksi na ksi mor pr zaror krna prta hy
Rishtaay
Khooni rishtaon say mohabaat to ftri amer hy. lkn wo ristay jo ap kay piyaroon ki zaat kay hawalay say ap ki zindagi may shamil hotay hain wo lzmiii ap ki tawaju , mohabaat ahmeaat aur azzat kay tlabgaar hotay hain
Friday, 31 August 2012
Khoobsoraat rah guzar
Zindagi ak khoobsoraat rah guzar hy mgr ye aur bi khobsorat ho jati hy jb koe hmkheal sathi mil jay....
Pursakoon Zindagi
Apni khwahish ko kbhi kud pr havii na honay dain tb hii ap ak purrskoon zndagi guzaar sktayy hnain
Samundar Aur Dil
Samundar ki gaharaii aur dil ki gahraii may ye frq hota hy ap sumundar ki gahraai ka andaza kr sktayy hn mgr dil ki gahraii ka nai
Kaam ki baat
Ye baat bilkul teek hy keh mushaeidah(observision) ap ko bahut kuch sikhata hy mgr yaad rakeaay jo sbq ap ko tajurbah (experince) krnay say ata hy wo mushahiday say ni a skta
Wednesday, 29 August 2012
Mohabaat aur nafrat
Sirf mohabaat hi ap ko mazboot ni banatii kbhi kbhi zindagi may aassay morr bi ataay hn kh nafraat may insan wo kuch kr jata hy jo shayad mohabaat may bi na kr pata
Tuesday, 28 August 2012
Mohabaat
Kuch log itnayy khubsorat ni hotayy jtna khobsorat ap kii mohabaat un ko bana dytii hy.....
Haqqeqat
Zindagii ki sab say takleef dah aqeqqat ye hy k jo ap ko sb say acha lgta hy wohi ap k naseeb may ni hota
Hamsafar
Khobsoraat safar ni hamsafer hona chahay .
agr hmsafar Ka sath acha ho ga to manzil kud .ba.kud khoobsoraat ho jay gi
agr hmsafar Ka sath acha ho ga to manzil kud .ba.kud khoobsoraat ho jay gi
Gareeb faqeer ki dosti
Kabi kbi Ameeroon ko chor kr uss gareeb faqeer say dosti krna seekhoo jo kuch rupay(money) kay badlaay ap ki bahut sariii hajaat kay leayy wajah.e. waseela bn skta hy
Kuch lafz dua k baraay may
Kuch dua k baraay may
Dua asa hathiyar hy jo unmol bi hy aur sb say taqatwar bi .
... is k leayy ap ko dolaat ki ni
sachi neeat k zaroraat hoti hy kue kh dua wahid asi cheez hy jo namumkinaat ko mumkin bna dyti hy... Dua sada hy nida hay uss raab kay samnay iltajaa hy jo bagaair ksii waja kay ap ko ksi b brhii uljhan say nikaal skti hy...
Sunday, 26 August 2012
uljhay rhshtay
Kuch rishtayy itnaay uljhay hoay htay hain k ap un ko suljhatay suljhatay apna dil to zkhmi kr bthoo gay mgr shaid wo rishta na suljh payay
Humsafar
Ak mukaml aur khusgawaar zindagi ka inhasaar is baat pr hay kay ap k humsafer apni yadoon may aur apni duaion may tumhaain ks trha aur ktna qareeb rktna hay
Ristay natay
Kuch rishtay hasil krnay key leay insaan ktni jdoojahid krta hy ...motti say motti mila kr khubsort mala tayar krta hy lkhn tornay wla wo mala ak pl may tor dyta hy chahay wo mala motiiou ki ho ya dil ki.... wo ye b jannay k khoshis ni krta keh ktni musafatoon k baad manzil mli kea kea quban ho gea
Yaadain
Yaadain insaan k zindagi may sb say bhtareen srmaya hoti hn.in yadoon k khrki jb kulti hy to us may woh log yaad a jatay hn jn say ap ki kabhi bahut yadaain wbasta hoti hn . aur unhi say bicher kr ap je rhay hotay hn .yehi wjha hy insan to mit jtay hn mgr yadaan kbi b ni mtt skti...........
Zindagani
Baaz oqaat hm brii ajeeb trha ki zndagi bsr kr rhay hotayy hn .... wo bataain jn pr kbi bhut jee bhr kr rotaay hn unhi batoon ko ak dn yaad kr kay hans rhayy hotay hn
Taa' ruf
Bahut say asayy log hmarri zindagi may ataay hn j jn k sath bahut dooor thk chlnaay kay bawajud hm un ko jaan ni pataay ...... aur ye b ak ittafaq hy k wo log jn ko hm bahut achi trha jantayy hn pta ni kha kho jataay hn.......
Dua
Dua mangnay ka tareeqa ya saleeqa ap ko koe ni skha skta ......ye to wo aml hy jo ap ko apnay RAB say ksi hajat k qaboleat pr ya ksi khushi k mlay pr apnay ap hi a jata hy
Subscribe to:
Posts (Atom)