ONLINE EARNING

Friday 28 September 2012

waqat


Baadshh nay apnay wazeer ko ak khoobsort anghothi de ur kha
is pr kuch asa lkhwao kay jb may khush hoon to is ko dkh kr  udass ho jaoun jb udass hoon to is ko dkh kr khush ho jaoun
wazeer nay uss anghothi pr likhwaya
YE WAQQAT BHI GUZAR JAY GA

Halaat

Halaat aur fitrat may tazaad hay
Warna insan to kbhi bura ni hota

Jazbay

Jb ap sachi lagn aur mahnat say ksi mqsad ko panay ki khoshish krtay ho to puri kiynaat mil kr ap ko ap ki manzil thk pounchnay kay leay teyar ho jati hy

My life my rules

Log hanstaay hain kh may mukhtalif hoon
Mujhay hanssi ati hy kh wo sb ak jsaay hain

Wafa

Wafa to nadi kay kinaray ugaay hoi  ghaass ki manid hoti hy jo doobnay walay ko sahara day kr bacha layti hy ya phir kud bii  kinaroon say naata tor kr dooob jati hy

Sunday 23 September 2012

Glt fahmiii

ksi ki khamoshi ko us ka garor na smjhoo
ho skta hy wo kud apni zaat  say  jang kr rha ho

khamosh mohabaat

Zindagi khobsorat lgti hy jb  ankhain chupkay chupkay  ksi say mohabaat krti hain
magr ye zindagi aur bi khobsorat lgnay lgti hy jb inhi ankhoon ki khamosh mohabaat ko koe prh leta hy

Mohabaat aur umeed

Log khtay hain hain kh mohabaat kroo mgr ksi say mohabaat ki talb na rkho
magar haqeqat ye hay kh jb ksi say toot kr mohabaat krtayy hain to qudarty tor pr us say  umeedain wabasta ke bathtay hain

Strong relations

Beautiful and  Strongs  relations wants two main things in life
firstly appreciate your similarities
secondly respect your differences

Kuch apnay say ajnabii log

Kuch log hamari zindagi may bahutt  aham   hotay hain is leay nhi kh hm un kay sath rhna pasand krtay hain  srf is leay kh un ki  judahi  may  hm hmesha k leay tanha ho jatay hain

Rishtay

Rishtay ak  khagaz  ki manid hotay hain  jo jlnay may ktm honay may  kuch second  laytay hain magr  bnanaay  may  kahi saal lay jatay hain ,,,,,,,

Saturday 22 September 2012

Bad attitude

buray  raweay(bad attitude) ak  kharaab  tire ki manid hy js  ko   tabdeel keay bagair ap kuch ni kr sktay

Friday 21 September 2012

Waqt say phlay

Wqt say phlaay apnay iraday ka izhaar krnayy say  aksar   us iradayy   ki ahmeaat kho bhi skti hy

muskurahat

Muskorahat  (smile) dukhoon ko chupanaay ka wahid   elaj hy  toh apnay  chahray pr  muskarahat ka itna khubsorat makeup kroo kh kay ghamun aur dukhoon  ki dhoool ksi ko nazr na askay

Khawaishaat ka samundar

Bahut si cheezaoon ki khawaish krna achi baat hy mgr   ye khawaishaat ka samundar bahut gahra hota hy is may  grnaay say phlaay ye  sooch loo kh    tum  tayrna jantay ho ya ni

Zindagi kay tajurbay

Hum zindagi kay baraay may    bahut say tajzeay kr rhay hotay hain mgr bhool jatay hain kh der haqeqat zindagi hamara    imtehaan lay rhi hoti hy

Dil kay waday

Ksi say kea hoa wada ap toor  bhi daytay hain aur bhool  b jatayy hain mgr jo waday ap kud apnay dil say krtayy hain un ko na tora ja skta hy na bulaya ja skta hy

Kmzoor faisalay

Ye baat bilkul teek hy kah soch samaj kr  fasilay krnay chahay mgr  ye bi ak haqeqat hy keh agr  ksi mmlay ko  had say zeada socha  jay to faisalay kamoor ho jatay hain

Maharbaan hath

Khushioun ko  zaror  dhondoo   mgr yaad rkhoo  jb  khushian    mlnaay lgaay   to un  2  hathoon ko  kbhi ni bhoolna  jnhoon nay tumhari khushii k leay apni khushian  qurbaan kr de

Kuch umeedain kuch khawaab

Kuch umeedain  kuch khawaab   ap ko hemesha    ak  maqsad ki trf lay jatay hain mgr  ye umeedain aur ye khawaab   aiin  us wqt  toot jain jb ap apni manzil say   2 ya 4 qadam   kay faslaay pr hoon jo  phir   darkan to chlti rhti hy mgr zindagi jeena bhool jati hy

Ibaadat

Kuch ibataain apnii grz   porii krani ki neeayt say ni blkah   uss  RAB ko   razi krnaay kay leay bhi krni chahayy jo ap ko bina mangay sb kuch day rha hy

Dost aur Dusmn

 Dusman  itna khatrnaak ni jtna wo dost  khtarnaak hy jo ap kay mooh pr ap ki tareef kray aur ap  ky baad ap ko barbaad kr day

Yaad Aur Mohabaat

Mohabaat aur Yaad may sb say brha frq ye haii kh  mobahatt  ap ko zkm day kr chor jathi hy  mgr yaad   hmesha na mukamal  khawaab ki trha  sari zindagi tabeer  dhoondti rhti hy

Mohaabaat

Mohabaat    tab hi ksi say krna  jb  tum  ko apnayy app pr itna yaqeen ho kh tum iss ko nibah skhoo gay  ... kue kh majbori ka   jhootha  sahara lay kr  rasta badal dyna mohabaat ni wafa ni

Monday 17 September 2012

Ahmiyeat

Baat sirf ahmieat daynay ki hoti hy   jb ap ksi ko dil say  apnatayy hain  aur apni tamaam  tr  masroofeat  say phlaay us ko  ahmiyaat daytayy hain to us kay nazdeek ap us kay leay  dunia kay sb say qeemti  sb say khoobsort insaan mn jatay hain. 

Bkhri yadaain

Kabhi  zameen pr paraay  zard udaas pthoon ko gour say dkhoooo   ye hamariiii   kuch khaas yadoon ki trha hain  jn ko jtna   smiythna chaha uthaay hiiii bkhertti chlii gai.........

Khushiaiin

Khushiaan   bhi  ghulaab kay phool kee trha hotii hain  jn ki umr to bahut kamm hotii hay mgr jewan  ko umr bhr kay leay mayhka  jati hain

Monday 10 September 2012

Nayaab dard

Mohabaat ki trha dukh bi bahut qeemti  hotay hain kbi ap ki laboon ki khobsorat   hansii bn kr  nai dunia basa daytay hain to kbi   dil kay makaan may    ak    unjaan si  khalish bn jatay hain mgr ye bii sach hay kh ye   wo nayaab dard hotay hain jo   hr ksi kay  naseeb may ni atayy dr  haqeqqat ye bahut  unmol  hotay hain

sachay dost

Wo log bahut khusqsmat hain jin ko  sachay dost miltay hain     un  ki zindagi may bahaar  ka mosam hmesha rhta hy .... mgr wo jo apni nadani ki wjha say   asayy  sacchaay motiouu  ko kho daytayy hain apni zindagi ko  khizaan ka pta day daytay hain

Milan aur judaii

Insan ka  mohabaat say taaluq raat ka shaam  say milan ki trha hota hy. shaam bi raat say   juda hotay hoay udass hota hy aur  insan bi mohabaat kay kho janay pr gumgeen hota hy . mgr frq srf itna hy kh  shaam  rooz raat say  milti hay mgr jb mohaabat  insan say bichr jati to  kbi ni wapis ati......!!

Dard.e.judai

Yeh hijar ka drd bi bahut tkleef dah hota hy    jo andar hi andar ap ko trpa rha hota hy aur   jb thk  ksi ko iss  dard ki khabar hoti tb tkh  dukh  bahut brh chuka hota hy

experiments

Yaadain  tlkh zaror hoti hain mgr anayy walay dinoon kay leay bhtareen   sabaq   bn jati hain

Unmol saharay

Sukhay pathoon ko  ghor say  dkheyeay .. ktnna acha hota na agr sochay pthaay b ksi yaad ki manid wapis  hmari zindagi may smil ho sktay.... ur hamari zindagi may haseen yaad  ka unmol sahara bn jatay

Saturday 1 September 2012

yaqeen

Zindagi kay   zarorii  mamlaat may hmesha  puryaqeen rhna chahay . kue kah agr ap apnay nazreay aur mizaaj kay mutabiq faysalaay krnay lgain gay too   asa b ho skta hy  kah ap akelaay  rh jao

Dost

Dost ka intakhaab bahut sooch smj kr krna chahay kue kah rishtadari k mamlay may insan  majboor ho jata hy dost kay  mamlayy may ni

Unmol ...

Zindagi may  kbi  kabi  kuch aam si , sadaa si cheezain bi itni qeemti lgnay lgti hy  kah ap  un ki  qeemat ka andaza lga hi ni  sktay . blkah un ki qeemat ada kr hi ni sktay . 

Azala

Apni zindagi may faysalay soch samj kr krayn kue kah jo gltii ap say ho jatii hy us ka azala  ap ko zindagi kay ksi na ksi mor pr zaror krna prta hy

Rishtaay

Khooni rishtaon  say mohabaat  to ftri amer hy. lkn wo ristay jo ap kay piyaroon  ki zaat kay hawalay say ap ki zindagi may shamil hotay hain wo lzmiii ap ki tawaju , mohabaat  ahmeaat aur azzat kay tlabgaar hotay hain